Ae Mere Watan Ke Logon Lyrics – Lata Mangeshkar
Ae Mere Watan Ke Logon Lyrics by Lata Mangeshkar, Immerse yourself in the soul-stirring sung by the legendary Lata Mangeshkar. A heartfelt tribute to our nation’s brave hearts. The music of this soulful emotional song is given by C. Ramchandra and Aye Mere Watan Ke Logo song lyrics are penned down by Poet Pradeep. Feel the patriotism!
Song: | Ae Mere Watan Ke Logon |
Singer: | Lata Mangeshkar (Remembering) |
Lyricist: | Kavi Pradeep |
Musician: | C. Ramchandra |
Label: | Saregama |
Ae Mere Watan Ke Logon Lyrics
Aa Aa Aa Aa…
Aye Mere Watan Ke Logon
Tum Khoob Laga Lo Naara
Yeh Shubh Din Hai Hum Sabka
Lehra Lo Tiranga Pyara
Par Mat Bhulo Seema Par
Veeron Ne Hai Praan Gawaye
Kuchh Yaad Unhe Bhi Kar Lo
Kuchh Yaad Unhe Bhi Kar Lo
Jo Laut Ke Ghar Na Aaye
Jo Laut Ke Ghar Na Aaye
Aye Mere Watan Ke Logon
Zara Aankh Mein Bhar Lo Paani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Aye Mere Vatan Ke Logon
Zara Aankh Mein Bhar Lo Paani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Jab Ghaayal Hua Himalaya
Khatre Mein Padi Aazadi
Jab Tak Thi Saans Lade Woh
Jab Tak Thi Saans Lade Woh
Phir Apni Laash Bichha Di
Sangeen Pe Dhar Kar Matha
So Gaye Amar Balidani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Jab Desh Mein Thi Diwali
Woh Khel Rahe The Holi
Jab Hum Baithe The Gharon Mein
Jab Hum Baithe The Gharon Mein
Woh Jhel Rahe The Goli
The Dhanya Jawan Woh Apne
Thi Dhanya Woh Unki Jawani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Koyi Sikh Koyi Jaat Maratha
Koyi Sikh Koyi Jaat Maratha
Koyi Gurkha Koyi Madrasi
Koyi Gurkha Koyi Madrasi
Sarhad Par Marne Wala
Sarhad Par Marne Wala
Har Veer Tha Bharatvasi
Jo Khoon Gira Parvat Par
Wo Khoon Tha Hindustani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Thi Khoon Se Lat-Phat Kaaya
Phir Bhi Banduk Utha Ke
Das Das Ko Ek Ne Maara
Phir Gir Gaye Hosh Gawa Ke
Jab Ant Samay Aaya Toh
Jab Ant Samay Aaya Toh
Keh Gaye Ke Ab Marte Hain
Jab Ant Samay Aaya Toh
Keh Gaye Ke Ab Marte Hain
Khush Rehna Desh Ke Pyaron
Khush Rehna Desh Ke Pyaron
Ab Hum Toh Safar Karte Hain
Ab Hum Toh Safar Karte Hain
Kya Log The Woh Deewane
Kya Log The Woh Abhimani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Tum Bhool Na Jao Unko
Isliye Kahi Yeh Kahaani
Jo Shahid Hue Hain Unki
Zara Yaad Karo Kurbani
Jai Hind Jai Hind Ki Sena
Jai Hind Jai Hind Ki Sena
Jai Hind Jai Hind Jai Hind
Written by: Kavi Pradeep