Sandese Aate Hai Lyrics – Border | Sonu Nigam
Sandese Aate Hai (संदेशे आते हैं) Lyrics from Anari is Super-Hit 90’s song sung by Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod and this sad song is featuring Sunny Deol, Suniel Shetty, Akshaye Khanna. Sandeshe Aate Hain song lyrics are penned by Javed Akhtar while its music is given by Anu Malik and video has been directed by J. P. Dutta.
Song: | Sandese Aate Hai |
Album: | Border |
Singers: | Roop Kumar Rathod, Sonu Nigam |
Lyricist: | Javed Akhtar |
Musician: | Anu Malik |
Starring: | Sunil Shetty, Sunny Deol |
Sandese Aate Hai Lyrics
Ho Ho Ho Ho…
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hain
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ki Tum Bin Yeh Ghar
Soona Soona Hai
Sandese Aate Hai
Humein Tadpaate Hain
Jo Chitthi Aati Hai
Woh Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ki Tum Bin Yeh Ghar
Soona Soona Hai
Kisi Dilwaali Ne
Kisi Matwali Ne
Humein Khat Likha Hai
Yeh Humse Poochha Hai
Kisi Ki Saanson Ne
Kisi Ki Dhadkan Ne
Kisi Ki Choodi Ne
Kisi Ke Kangan Ne
Kisi Ke Kajre Ne
Kisi Ke Gajre Ne
Mahakti Subahon Ne
Machalti Shaamon Ne
Akeli Raaton Ne
Adhoori Baaton Ne
Tarasti Baahon Ne
Aur Poochha Hai
Tarsi Nighahon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Yeh Dil
Soona Soona Hai
Sandese Aate Hain
Hamein Tadpate Hain
Jo Chitthi Aati Hai
Wo Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Yeh Ghar
Soona Soona Hai
Mohabbat Walon Ne
Humare Yaaron Ne
Humein Yeh Likha Hai
Ke Humse Poochha Hai
Humare Gaaon Ne
Aam Ki Chhaaon Ne
Puraane Peepal Ne
Baraste Baadal Ne
Khet Khaliyanon Ne
Hare Maidanon Ne
Basanti Belon Ne
Jhoomti Belon Ne
Lachakte Jhulon Ne
Behakte Phoolon Ne
Chatakti Kaliyon Ne
Aur Poochha Hain
Gaaon Ki Galiyon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ki Tum Bin Gaaon
Soona Soona Hai
Sandese Aate Hain
Hamein Tadpate Hain
Jo Chitthi Aati Hai
Wo Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Yeh Ghar
Soona Soona Hai
Ho Ho Ho Ho…
Kabhi Ek Mamta Ki
Pyaar Ki Ganga Ki
Woh Chitthi Aati Hai
Saath Woh Laati Hai
Mere Din Bachpan Ke
Khel Woh Aangan Ke
Woh Saaya Aanchal Ka
Woh Teeka Kaajal Ka
Woh Lori Raaton Mein
Woh Narmi Haathon Mein
Woh Chaahat Aankhon Mein
Woh Chinta Baaton Mein
Bigadna Oopar Se
Mohabbat Andar Se
Kare Woh Devi Maa
Yahin Har Khat Mein
Poochhe Meri Maa
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Aangan
Soona Soona Hai
Sandeshe Aate Hain
Hamein Tadpate Hain
Jo Chitthi Aati Hai
Wo Poochhe Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Yeh Ghar
Soona Soona Hai
Aye Guzarne Waali Hava Bata
Mera Itna Kaam Karegi Kya
Mere Gaaon Ja
Mere Doston Ko Salaam De
Meri Gaaon Mein Hai Jo Woh Gali
Jahan Rehti Hai Meri Dilruba
Use Mere Pyar Ka Jaam De
Use Mere Pyar Ka Jaam De
Wahin Thodi Door Hai Ghar Mera
Mera Ghar Mein Hai Meri Boodhi Maa
Meri Maa Ke Pairon Ko Chhu Ke
Use Uske Beta Ka Naam De
Aye Guzarne Wali Hava Zara
Mere Doston Meri Dilruba
Meri Maa Ko Mera Paigam De
Unhein Jaake Ty Yeh Paigam De
Main Wapas Aaunga
Main Wapas Aaunga
Phir Apne Gaaon Mein
Usiki Chhaaon Mein
Ke Maa Ke Aanchal Se
Gaaon Ke Peepal Se
Kisi Ke Kajal Se
Kiya Jo Vaada Tha
Woh Nibhaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Main Ek Din Aaunga
Written by: Javed Akhtar