Yaara Lyrics Jammin’ by A.R. Rahman | Anthem #JamminNow |
Yaara Lyrics Jammin’ by A.R. Rahman | Anthem #JamminNow |
Music – A.R. Rahman
Lyrics – Navneeth
Rap Lyrics – Mumbai’s Finest
Singers – A.R. Rahman, Sanam (Sanam Puri, Samar Puri, Venky S, Keshav Dhanraj), Shraddha Sharma, Siddharth Slathia, Jonita Gandhi, Arjun Kanungo, Maati Baani ( Nirali Kartik & Kartik Shah), Sanah Moidutty, Raaga Trippin (Alan De Souza, Gary Misquitta, Gwen Dias, Keshia Braganza, Suzanne D’Mello and Thomson Andrews) and Mumbai’s Finest (Ace, Diefferent, Ninja)
Flute – Kamalakar
Yaara Lyrics
Jaane kyon beimaan hai
Mera hi aaina
Mujhe pehchaane na
Kyon lage aaj khud se yeh pehli mulaqaat hai..
Chamkeela suraj toh hai utha
Phir bhi in aankhon mein ghoome
Kyon gehri raat hai..
Kaisi hai yeh roshni
Jo mujh tak aaye na
Haath badhaaye na
Nazrein milaaye na
Raat bujhaaye na..
Kyon har chehre pe lagey pehre
Yeh zameen deewaaron ke bina thi bani
Khud se khafa hai sara jahan
Naraaz hai, naraaz hai..
Mann ke gehre se kamron mein dhoonda
Toh miley bhoole se darwaaze
O… Khola toh dahleez pe khadi thi
Subah ki kirnein o…
Dhul gayi beh gayi sari siyahi
Ghuli hain muskaanein
Udaa man hawaa ban
Pehchaane na sarhadein
Hai saanjha sa noor yeh
Saanjhi yeh rehmatein
Hum juda toh na thhe..
Wohi ghamon se hai
Wohi khushi se hai dosti
Ek si hai zindagi..
Yaara hum nahin ajnabi
Ajnabi toh hum nahin
Dhadke seene mein
Yeh dil toh hai wohi
Yaara hum nahin ajnabi
Ajnabi toh hum nahin
Mitti se sab baney
Wohi rooh toh hai bhari
Yaara ham-watan ya ham-mazhab
Ya ham-zabaan hum na sahi
Yaara iss zameen pe hi ho Jannat..
Yeh toh chaahein hum sabhi
Aa haath mila…
(Rap)
Honge sab ek aaj
Ek jaan jazbaat
Saath haath mil baat
Pyaar ka yeh saugaat
Waqt phekneka hathyaaro ko
Waqt giraane ka deewaron ko
Ek auzaar jo andhere ko
Karde roshan aur sirf pyaar who..
Khudse kyu sawaal
Jab khud main hi jawaab mere yaar
Kyu na baate zindagi main pyaar, jeele Aaj
Kyu hai Kyu hai sach se
Anjaan Kyu hai
Hum Sab mein ek jaan hai
Sab pehle insaan hai..
Yaara hum nahin ajnabi
Ajnabi toh hum nahin
Yaara, yaara
Dhadke seene mein
Yeh dil toh hai wohi
Yaara hum nahin..